Wednesday 7 October 2020

SAHIR.. GHAZAL.. HAR TARAH KE JAZBAAT KA ELAN.....

Har tarah ke jazbaat ka elaan hain aankhen.

Shabnam kabhi shola kabhi toofaan hain aankhen.

Every kind of emotion is notified by eyes. 

Flash, dew, tempest are classified by eyes. 

Aankhon se baDi koi taraazu nahin hotee. 

Tulta hai bashar jis men vo meezaan hain aankhen. 

No balance  bigger than the eyes exists. 

Scale weighing humans is specified by eyes. 

Aankhen hi milaati hain zamaane men dilon ko. 

Anjaan hain hum tum, agar  anjaan hain aankhen. 

Eyes bring hearts closer in this world. 

We willl be strangers, till unified by eyes. 

Lab kuchh bhi kahen, is se haqeeqat nahin khultee. 

Insaan ke such jhoot ki pahchaan hain aankhen. 

Whatever lips say, truth is'nt revealed. 

Human truth and  lie are verified by eyes. 

Aankhen na jhukin teri kisee ghair ke aage. 

Duniya men baDi cheez meri jaan hain aankhen. 

That your eyes didn't succumb before rival. 

My love in this world is certified by eyes. 


No comments:

Post a Comment